GHAZAL SMS!

 


« First   «  3  4  5  6  7  8  9  10  11  12  13     »  Last »

Wo khuwab tha bikhar gaya

Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin
magar iss dil ko kyaa huaa, kyon bujh gayaa pataa nahin

har ek din udaas din tamaam shab udaasiyaan
kisi se kyaa bichar gaye k jaise kuchh bachaa nahin

wo saath thaa to manzilen nazar nazar chiraaG thin
qadam qadam safar mein ab koii bhii lab duaa nahin

ham apane is mizaaj mein kahin bhii ghar na ho sake
kisii se ham mile nahii.n kisii se dil milaa nahin

hai shor-saa taraf taraf ki sarahadon kii jang mein
zamii.n pe aadamii nahii.n falak pe kyaa Khudaa nahin


Jo guzar gia woh guzar gia

usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi ayai ga, jo guzar gia wo guzar gia,

Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,

Koi ayai ga koi jayai ga, koi jayai ga koi ayai ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,

Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gaia woh guzar gia,

Mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,

Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia


Har ek lamha naya ik imtehan hai

Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,

Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,

Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,

Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai…


Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka

har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,

Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain to kuch aap pay ahsaan nahin kertay,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pay gulo ko,
Itna bhi to qatil ko pashaiman nahin kartay,

Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu ayai tou ham ghar main charaghan nahin kartay,

Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,

Hum tuj kay chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay


Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujh

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey



« First   «  3  4  5  6  7  8  9  10  11  12  13     »  Last »